Meri Zindagi Ek Band Kitab Hai, Jise Aaj Tak Kisi Ne Khola Nahi, Jisne Khola Usne Padha Nahi, Jisne Padha Wo Samjha Nahi, Aur Jo Samaj Saka Wo Mila Nahi…
Zindagi bahut kuch sikhati hai , kabhi hasati hai..kabhi rulati hai . Kudh se jayada kisipe bharosa maat karna , andhere me to parchai bhi saath chorjati hai..
Karni mujhe khuda se kuch fariyad baki hai. Hame unse kehni kuch baat baki hai. Maut aayegi to keh denge zara ruk, Abhi mere dost se ek mulakat baki hai…
Na Chupana Koi Baat DiL Main Ho Agar, Rakhna Thorra Bharosa Hum Par, Hum Nibhaye Ge Dosti Ka Rishta Iss Qadar, Ke Bhulane Par Bhi Na Bhula Pao Ge Zindagi Bhar..
Mushkilon ko karta Jo aasan hai, WO asal me hi to ek insan hai ! Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de, Buzdili ki uski to pahchan hai ! Zindagi hai ek dariya dard ka, Dard se khele wahi insan hai ! Khushali me sab yaha jee lete hai, Ghum me jeena to alag ek shan hai ! Ham bana saktey hain khud takdeer ko, Gham ham hi me josh ka elan hai ! Kahte hain eh waqt hai ek dhupchhaon, Feer bhala kyon aadami hairan hai ! Khud ko Jo samjhe ki ham kamzor hain, WO bahut nadan hai anjan hai !!